Breast Size - Pistaan

ALL ABOUT YOUR
SEXUAL HEALTH
In URDU & ENGLISH

Moderator: casanova

Breast Size - Pistaan

Postby abdulsaboor » Sun Dec 23, 2012 2:05 pm

Breast Size - Pistaan


Birth control ki tablets mein female hormones shamil hotey hain inkay istemal kay baad pistaan (Breast) size mein kisi had tak izafa ho sakta hai. Issi tarhan silicon ka injection dey kar bhi pistaan (Breast) ko artificially big kya ja sakta hai. Estrogen cream laganey sey bhi pistaan (Breast) kuch enlarged ho saktey hain. Surgery ki madad sey bhi inko big kya ja sakta hai. Magar surgery bohut khatarnak hai aur yeh surgery expensive bhi hai. Aisi surgery usually shaadi kay baad ki jati hai. Issi tarhan kuch log vacuum kay zariye bhi pistaan (Breast) big karney ka dawa kartey hain. Yeh system Pakistan mein bhi mojood hai magar iss sey koi farq nahi parta magar try karna mein kya harj hai. Shaadi kay baad specially bachey ki paedaesh kay baad khawateen kay pistaan (Breast) big ho jatey hain. Baaz khawateen kay pistaan (Breast) naram aur loose ho jatey hain aur inko exercise kay zariye hard kya ja sakta hai.

Kuch din pehley Kashmir sey ek 26 year old unmarried larki ney mujhey call ki woh apna large pistaan (Breast) ki wajah sey pareshan thee. Usually big pistaan (Breast) aurat kay husn ko dobala kartey hain magar agar yeh bohut big ho to inn ko sambhalna mushkil ho jata hai. Iss surat mein operation kay zariye unko small kya ja sakta hai. Magar un-married larkiyon ko iss ka mashwara nahi diya ja sakta. Kyun kay operation kay nishan nazar aatey hain. Iss tarhan husband kisi ghalat fehmi ka shikar ho sakta hai.

Baaz auqat ek pistaan (Breast) kuch big aur doosra kuch small hota hai. Yeh ek normal cheez hai. Na kay koi beemari. Iss kay elaj ki zaroorat nahi lekin agar yeh farq bohut hi zyada ho to shaadi kay baad surgery ki madad li ja sakti hai.
DR ABDUL SABOOR
PHD Scholar at Superior University Lahore- Pakistan
MS Business Administration (HRM)
BS Business Administration (Marketing)
Member Editorial Board Science Publishing Group USA
Member Editorial Board International Journal of Marketing Studies
Cell=0308-6837987

Pakistan
User avatar
abdulsaboor
ADMIN
ADMIN
 
Posts: 2004
Joined: Fri Sep 28, 2007 3:42 am
Location: vehari-punjab-pakistan

Re: Breast Size - Pistaan

Postby abdulsaboor » Sun Dec 23, 2012 2:06 pm

ssi tarhan baaz auqat ek pistaan (Breast) zyada sensitive hota hai aur doosra kam. Yeh bhi ek normal cheez hai. Baaz larkiyon kay pistaan (Breast) kay nipples kay bahir Areola kay erd gird kuch baal grow ho jatey hain yeh bhi ek normal cheez hai. Iss kay elaj ki zaroorat nahi. Agar chahein to inko aasani sey laser sey remove karaya ja sakta hai.

Bohut si larkiyan pistaan (Breast) kay tanau sey nijat hasil karney kay liye aur apni personality ko purkashish bananey ka liye bra ka estimal karney lagti hain. Baaz auqat woh tight bra pehenti hain takay tanau sey nijat hasil ho sakey. Magar yeh tareeqa sahi nahi kyun kay tight bra sey pistaan (Breast) ki growth ruk jati hai. Baaz larkiyan bohut loose bra use karti hain woh bhi sahi nahi, Iss sey pistaan (Breast) latak jatey hain. Lehaza bra na bohut zyada tight ho aur na hi bohut loose. Bul kay pistaan (Breast) kay size kay mutabiq ho. (Dastoor: Kawal Dheer)
DR ABDUL SABOOR
PHD Scholar at Superior University Lahore- Pakistan
MS Business Administration (HRM)
BS Business Administration (Marketing)
Member Editorial Board Science Publishing Group USA
Member Editorial Board International Journal of Marketing Studies
Cell=0308-6837987

Pakistan
User avatar
abdulsaboor
ADMIN
ADMIN
 
Posts: 2004
Joined: Fri Sep 28, 2007 3:42 am
Location: vehari-punjab-pakistan

Re: Breast Size - Pistaan

Postby abdulsaboor » Sun Dec 23, 2012 2:16 pm

Barey Pistaan (Breast) Wali Khawateen Jinsi Tor Per Zyada Purjosh Hoti Hain?

Khayal kara jata hai kay big size pistaan (Breast) wali aurat zyada jinsi jazbat rakhti hai aur woh sexually zyada active hoti hai. Jab kay small pistaan (Breast) wali aurtein sex kay muamley mein zyada active nahi hotiin. Research sey sabit ho chuka hai kay pistaan (Breast) kay size ka aurat ki sexuality kay sath koi ta'alluq nahi. Small pistaan (Breast) wali aurat sexually zyada active ho sakti hai jab kay big size pistaan (Breast) wali aurat bilkul thandi.

Tahem sexually sensitivity kay lehaz sey pistaan (Breast) ka number 3rd hai jiska size kay sath koi ta'alluq nahi. Agarcha big pistaan (Breast) dekhney mein khubsoorat lagtey hain (Har shakhs ko nahi) magar aurat ki bharpoor azdawaji zindagi mein pistaan (Breast) size ki koi khas ahmiyat nahi bul kay tareeqa ahem hai.
DR ABDUL SABOOR
PHD Scholar at Superior University Lahore- Pakistan
MS Business Administration (HRM)
BS Business Administration (Marketing)
Member Editorial Board Science Publishing Group USA
Member Editorial Board International Journal of Marketing Studies
Cell=0308-6837987

Pakistan
User avatar
abdulsaboor
ADMIN
ADMIN
 
Posts: 2004
Joined: Fri Sep 28, 2007 3:42 am
Location: vehari-punjab-pakistan

Re: Breast Size - Pistaan

Postby abdulsaboor » Sun Dec 23, 2012 2:18 pm

Chotey Pistaan (Breast) Mein Doodh Ki Kami Hoti Hai?

Kuch arsa pehley ek sahib ney mujhey call ki. Inki new marriage thee. Woh apni wife ka pistaan (Breast) size kay hawaley sey fikarmand thay jo kay unkay khayal mein bohut hi chotay thay. Inko bataya gaya kay pistaan (Breast) size kay aurat ki jinsi zindagi kay sath koi ta'alluq nahi. Inko asal fikar iss baat ki thee kay inn mein itna milk aa jaey ga kay inn ka babies ka pait bhar sakey. Yani woh bharpoor andaz sey apney bachon ko feed kar sakey gi. Pistaan (Breast) chahey kitna hi chotey kyun na ho milk paeda karney mein kotahi nahi kartey hain. Kisi aur wajah sey milk mein kami ho sakti hai magar pistaan (Breast) kay chotey honay sey milk mein kami nahi hoti.
DR ABDUL SABOOR
PHD Scholar at Superior University Lahore- Pakistan
MS Business Administration (HRM)
BS Business Administration (Marketing)
Member Editorial Board Science Publishing Group USA
Member Editorial Board International Journal of Marketing Studies
Cell=0308-6837987

Pakistan
User avatar
abdulsaboor
ADMIN
ADMIN
 
Posts: 2004
Joined: Fri Sep 28, 2007 3:42 am
Location: vehari-punjab-pakistan


Return to HEALTH TOPICS

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 1 guest
cron