Breast Cancer: (Chaati Ka Cancer)
Breast cancer (Chaati ka cancer) puri duniya mein aam hai. Aurton kay cancer mein 25% khawateen sirf Breast cancer ka shikar hain. America mein 10% khawateen iss marz mein mubtila hain. Wahan har year 41000 khawateen iss beemari sey marti hain. Hamarey yahan yeh beemari nisbatan kam hai. Yeh beemari 40 ta 60 years ki age mein khawateen ko hoti hai. Agar kisi aurat ki dadi, nani, mother ya sister ko yeh beemari thee to aisi aurat ko iss beemari ka zyada khatra hota hai.
Woh aurtein jo choti age mein bachey paeda karti hain aur woh aurtein jo bachon ko apna doodh pilati hain woh iss beemari sey mehfooz rehti hain. Agar iss beemari ka initial stage mein pata chal jaey to 10 mein sey 9 mareez sehatiyab ho jatey hain. Iss beemari ki diagnosis aap khud bhi kar sakti hain. Iss kay liye zaroori hai kay har khatoon apni pistaan (Breast) ka baqaida examination karey. Yeh examination har month mein ek baar zaroor hona chahiyie. Takay jitni jaldi pata chal jaey ga elaj bhi itna hi aasan hoga. Mahwaari (menses) kay doran examination nahi karna chahiyie kyun kay iss doran pistaan (Breast) mein fitri tor per lumps mojood hotey hain. Lehaza examination mahwaari (menses) sey pehley ya baad mein kya jaey. (Woman's Body)