Breast Cancer: (Chaati Ka Cancer)

ALL ABOUT YOUR
SEXUAL HEALTH
In URDU & ENGLISH

Moderator: casanova

Breast Cancer: (Chaati Ka Cancer)

Postby abdulsaboor » Sun Dec 23, 2012 2:13 pm

Breast Cancer: (Chaati Ka Cancer)

Breast cancer (Chaati ka cancer) puri duniya mein aam hai. Aurton kay cancer mein 25% khawateen sirf Breast cancer ka shikar hain. America mein 10% khawateen iss marz mein mubtila hain. Wahan har year 41000 khawateen iss beemari sey marti hain. Hamarey yahan yeh beemari nisbatan kam hai. Yeh beemari 40 ta 60 years ki age mein khawateen ko hoti hai. Agar kisi aurat ki dadi, nani, mother ya sister ko yeh beemari thee to aisi aurat ko iss beemari ka zyada khatra hota hai.

Woh aurtein jo choti age mein bachey paeda karti hain aur woh aurtein jo bachon ko apna doodh pilati hain woh iss beemari sey mehfooz rehti hain. Agar iss beemari ka initial stage mein pata chal jaey to 10 mein sey 9 mareez sehatiyab ho jatey hain. Iss beemari ki diagnosis aap khud bhi kar sakti hain. Iss kay liye zaroori hai kay har khatoon apni pistaan (Breast) ka baqaida examination karey. Yeh examination har month mein ek baar zaroor hona chahiyie. Takay jitni jaldi pata chal jaey ga elaj bhi itna hi aasan hoga. Mahwaari (menses) kay doran examination nahi karna chahiyie kyun kay iss doran pistaan (Breast) mein fitri tor per lumps mojood hotey hain. Lehaza examination mahwaari (menses) sey pehley ya baad mein kya jaey. (Woman's Body)
DR ABDUL SABOOR
PHD Scholar at Superior University Lahore- Pakistan
MS Business Administration (HRM)
BS Business Administration (Marketing)
Member Editorial Board Science Publishing Group USA
Member Editorial Board International Journal of Marketing Studies
Cell=0308-6837987

Pakistan
User avatar
abdulsaboor
ADMIN
ADMIN
 
Posts: 2004
Joined: Fri Sep 28, 2007 3:42 am
Location: vehari-punjab-pakistan

Re: Breast Cancer: (Chaati Ka Cancer)

Postby abdulsaboor » Sun Dec 23, 2012 2:14 pm

Chaati Ka Muaina (Breast Examination)

Monthly examination kay liye apni shirt utaar kay ek big mirror kay samney kharey ho jaein. Arms donon side per latkey huey hun aur phir bari bari apney donon pistaan (Breast) ko ghor sey dekhein kay kahiin pistaan (Breast) ki external side per koi irregularities to nahi. Kahin koi dimple, puckering ya koi swelling waghaera to nahi. Phir arms ko head sey ooper uthaein aur doobara inn cheezon ko check karein. Dekhein kay nipples mein koi change to nahi. Agar koi irregularity nazar aaey to foran doctor sey contact karein. Phir palm ko nipples kay ooper rakh kay aram sey dabaein. Usually aurton kay donon pistaan (Breast) baraber nahi hotey hain.

Phir ek ek nipple ko thumb aur finger mein pakar kay dabaein aur dekhein kay kahin khoon ya pus waghaera to nahi nikla. Nikley to foran doctor sey contact karein.

Ab bister per laet jaein. Right shoulder kay neechey pillow rakhein. Right hand ko sar kay neechey rakhein aur left hand sey apna right pistaan (Breast) ahista ahista dabaein aur check karein. Pistaan (Breast) kay har part ko daba kar check karein kay koi swelling ya lumps to nahi. Check kartey waqt pistaan (Breast) ki koi jagah na chorein. Phir issi tarhan left pistaan (Breast) ko check karein. Ab pillow ko left shoulder kay neechey rakhein aur left hand ko sar kay neechey aur right hand sey pehley ki tarhan tafseel kay sath left pistaan (Breast) ko check karein. Swelling ya lump ki soorat mein foran doctor sey contact karein. Baaz auqat lumps khatarnak nahi hotey. Har bar apna examination karney kay baad aap ko khushi hogi kay aap bilkul theek hain.
DR ABDUL SABOOR
PHD Scholar at Superior University Lahore- Pakistan
MS Business Administration (HRM)
BS Business Administration (Marketing)
Member Editorial Board Science Publishing Group USA
Member Editorial Board International Journal of Marketing Studies
Cell=0308-6837987

Pakistan
User avatar
abdulsaboor
ADMIN
ADMIN
 
Posts: 2004
Joined: Fri Sep 28, 2007 3:42 am
Location: vehari-punjab-pakistan


Return to HEALTH TOPICS

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 0 guests
cron